NAMAAZ JUMAA
يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِذَا نُوۡدِىَ لِلصَّلٰوةِ مِنۡ يَّوۡمِ الۡجُمُعَةِ فَاسۡعَوۡا اِلٰى ذِكۡرِ اللّٰهِ وَذَرُوا الۡبَيۡعَ ؕ ذٰ لِكُمۡ خَيۡرٌ لَّـكُمۡ اِنۡ كُنۡتُمۡ تَعۡلَمُوۡنَ ۞
(SURAH JUMAA, AAYAT:9)
TARJUMA-A ! imaan waalo jab azaan ho namaaz ki jumaa ke din to daudo Allaah ki yaad ko aur chhodo khareed o farokht ye behtar hai tumhaare haq me agar tum ko samajh hai.
*Aazaad,baaligh, aaqil,tandrust, muqeem mardon par jumaa k roz zuhar ki namaaz k bajaay juma ki namaaz farz hai.
(zuhar ki namaaz se namaaz juma ki taaqeed zyaadah hai)
naabaaligh bachchon, ghulaamon, deewaano, beemaaron, andhon, apaahijon aur isi tarah ke uzardaaron aur musaafiron aur aurton par juma ki namaaz farz nahi.
JUMA KI NAMAAZ SAHI HONE KI DARJ ZEL SHARAAIT HAIN
*Sheher ya sheher k qaayam maqaam bade gaanv ya qasba me hona isi tarah sheher k aas paas aisi aabaadi ki sheher ki zarooraten uske mutalliq ho albatta chhote gaanv me namaaz juma durust nahi.
*zuhar ka waqt ho
*Namaaz juma se pehle khutba padhna.
*Namaaz juma ki jamaat ke sath padhi jaaye.
* azaan aam ho
NAMAAZ JUMA PADHNE KI TARTEEB DARJ ZEL HAIN
1-4 Rakat sunnat mokkadah
2- Khutba e juma
3- Baajamaat 2 rakat farz namaaz juma
4-Phir 4 rakaat sunnat mokkidah
5-2 rakaat sunnat mokkidah
6-2 rakat nafil
NAMAAZ JUMA KA KHUTBA MASNOON PADHNE KA TAREEQA
*Farz namaaz juma se pehle imaam mimber par baithe aur uske saamne moazzin azaan kahe, jab azaan ho chuke to imaam namaaziyon ki taraf munh karke khada ho aur khutba padhe, pehlaa khutba padh kar thodi der baith jaaye phir khada hokar doosra khutba padhe jab doosra khutba khatm ho jaaye to imaam minber se utar kar mehraab ke saamne khada ho jaaye aur moazzin takbeer kahe,phir haazireen khade hokar imaam ke saath namaaz adaa karen.
*Arbi zabaan ke siwa har zabaan me khutba makrooh hai go farz khutba ho jaata hai albatta sawaab me bahut nuqsaan ho jaata hai.
KHUTBA K DAURAAN DARJ ZEL KAAM NA JAAIZ HAIN
*Baaten karna
*Namaaz sunnat ya nafil shuru kar dena
*Khaana peena
*Kisi baat ka jawaab dena
*Quraan majeed waghairah padhna
NOTE-Gharz jo kaam khutba sunne me nuqsaan daalen sab makrooh hain.